Biwi Yani Big Boss
Desh ki aala adalat ke ek manniya justice ki rai pa agar gaur karen to biwi ek big boss hai,ek commander hai, ek aisa cement aur chipkau Kwick Fix hai jo grahasth ki gari ko tikau banati hai, grahasth ki mahima aur garima ko duniya ki nazaron mein smridh,swasth,safal, sharsh banati hai. Aap agar apne ghareloo jivan se sangharsh, takrav, var-prativar talna chahte hai to biwi ko ji han apni biwi ko apne big boss aur commander se badhkar manen tabhi to aap ka jivan sukhad ban sakta hai. Biwi ki baat maan lene mein samajhdari hai. Aap agar apni samajhdari ka apni akl ko girvi rakh kar istemal karenge to takrar, bikhrav,vilap,talaq se bach jaenge aur aap ko vakilon aur adalaton ke chakkar nahin katne honge. Itna hi nahin agr aap apni biwi ko sartaj maan lenge to aap ke naam n to koi bhi tohmat aaegi aur n hi koi musibat. Aap ke bachon ko bhi tootan ka dansh nahi jhelna padega.
Aap ke jivan ki safalta ,amn , chain,santosh ka bas ek moolmantra hai---Biwi sharnam gachhami,toot ki aashaka mit jani. Aakhir ise manne mein kya burai hai. Kai log kya kai desh bhi apne sukhmay bhavishya ke liye qurbani dete hain. Kai desh aman-chain ke liye apni sena ka samarpan karte hain,kai desh apni satta surakshit rakhne ke liye aatakvadiyon ke aage jhuk jaate hain. Aaap bhi agar apne parivar ke sukh aur aman ke liye apni biwi ko apna sab kuch, apna sarvatra maan lenge to koi aasman girne vala nahin hain.
Aapko to kewal itna hi kahna hai-Jo kuch hai sab tera,mera sab kuch tera. Iske baad yadi aap chahen to yeh bhi kah sakte hain-tera tuch ko arpit,kya laage mera. Bas aap apni poori tankhvah biwi ke haath mein dekar poore mahine uski ichhaon ka paalan karen to poore jivan mein kabhi koi musibat nahin aayegi. Iske baad aapko koi nag, nagina nahin daalna hoga kyonki aapne biwi ko sabse bada nagina aur use sabse behtar hasina maan liya hai. aap kya cheez hain supreme court ke judge bhi biwi ko apna big boss maante hain. Kai log to zyada samajhdar hote hain aur vah apni sagai ke din se hi apni honevali patni ke prabhamandal ke age hathiyar daal dete hain aur unki shhadi hone tak aur uske baad ki bhi zindagi pursakun ho jaati hai.
1 टिप्पणियाँ:
excellent article. nishant
Post a Comment