Vaise Kutte Vafadar Hote Hai----Hindi in Roman Script

Kutte janvaron mein sabse zayada vafadar mane gaye hai---insanon ke liye. Ise dekhte hue ek bank ne kutte ko hi khatadhariyon ki jama rakam ki vafadari karte hue dikhaya hai. Isi tarah ek mobile company ne bhi vafadari dikhane ke liye kutte ki tasveer chuni hai. Yeh bhi sach hai ki kuchh log kutton ko apni family ka sadasy aur is se bhi zayada mante hain. Tabhi to kutton ko apne makhmali sofon aur bistron par saath aaram karne dete hain. Apni airconditioned gadiyon mein sair karwate hain. Aise kutton ke alava street dog yani awara kutton ki dastan alag hi hai. Unke saath jab koi badsalooki karta hai to animal lovers n g o apni awaz buland karte hain. Aisi badsalooki karne walon ki zindgai dushvar kar dete hain--ye n g o. Aise kai mamlon se log pareshan hain aue adalton tak pahunche. Aise mamlon se ados pados ke rishte bigad raye hain.
Awara kutton ki awargi aur kutton ke prati insan ki diwangi se kai log khafa bhi hain. Kabhi kabhi aise kutte insanon ko kaat lete hain aur phir kutton ki dharpakd ki jaati hai. Baharhal aisi ghatnaon ke beech MCD yani dilli nagar nigam ne kutton ki ginati karne ka elan kiya hai. Kutte n to ek jagah par rahte hai aur n hi unhen shakl se pahchana ja sakta hai. Lekin phir bhi kutton ki ginati cheetiyon ki ginti ki tarah namumkin to nahin. Nagr nigam ne kutton ko pakd kar unki nasbandi karke ki bhi thaani hai. Aisa to hota rahta hai magar phir bhi kutton ki tadad badhti jati hai. Nasbandi ke baad tadaa badhna ajeed lagta hai. Isse yeh pata chalta hai ki kutton ki nasbandi laparwahi se ki jati hai. Jab insanon ke asptal mein laparvahi hoti rahti hai to kutton ke baare mein laparwahi hone par koi awaz shayad n uthai ja saki. Rajdhani dilli mein bahar se aane vale kutton ko ticket ya passport ki zaroorat nahin hoti. Rajdhani mein desh ke doosre pranton se aane valon ko rokne ki awaz uth sakti hai. Ho sakta hai , kisi n kisi upay se unka aana ruk bhi jaaye lekin yeh karvai manushyon tak hi seemit rahi hai. Janvaron ke baare mein jinmein kutte bhi shamil hai un par koi pabandi nahin lagai ja sakti.
Kutte vafadar hote hain,kyonki ve jis basti ya ilake mein rahte hain kewal vahin bhonkte hain aur vahan kisi gair ke aa jane par bhonkte hue apni basti se bahar kar dete hain aur apni basti ki had nahin langhte. Ye kutte akhir padosi desh ke un insanon se to behtar hain jo hamare khilaf apne mulk mein to bhonkte hi hain, had paar kar ke hamare desh mein aakar bhi bhonkte hain aur is mulk ke logon aur vayavastha ko katte bhi hain.

2 टिप्पणियाँ:

brilliant article once again
regards
nishant

 

Post a Comment